Ticker

6/recent/ticker-posts

Ad Code

Responsive Advertisement

How to Build a Gaming PC on Budget 2025 Step by Step Guide for Beginners

 


Step by Step Budget Gaming PC Build Guide 2025 Edition

Gaming ka craze har saal badhta ja raha hai, lekin ek problem hamesha same rehti hai – gaming PC banana mehenga lagta hai. Aksar log sochte hain ki gaming ke liye lakhon rupaye lagenge, par sach ye hai ki agar thoda research aur planning karo to aap ek budget-friendly gaming PC bana sakte ho jo aaram se modern games 1080p ya 1440p par chala de Is guide mai mai aapko step by step samjhaunga – kaunse components chahiye, kaise compatibility check karni hai, kin cheezon par compromise karna hai kinpai nahi aur kaunse parts future upgrades ke liye smart investment hain.


Step 1: Apna Budget Decide Karo

Sabse pehle ye clear karo ki aapka budget range kya hai. Normally 3 categories hoti hain ismai:

  • Entry-Level (₹35,000 – ₹50,000): 1080p gaming medium settings

  • Mid-Range (₹50,000 – ₹80,000): 1080p high ya 1440p medium settings

  • High Budget (₹80,000+): 1440p high ya 4K entry level

👉 Pro tip: Budget fix karne se aapko pata hoga ki kis component mai paisa zyada daalna hai aur kahan bachana hai.


Step 2: Processor (CPU)

CPU ek PC ka brain hota hai. Budget build ke liye aapko ek value-for-money processor lena hoga apko acchai cpu choose karna hai jo apkai budget ki range mai aajaye.

  • Entry Level: AMD Ryzen 5 5600G (integrated graphics ke saath)

  • Mid Range: Intel Core i5-13400F ya AMD Ryzen 5 7600

  • High Budget: Intel i7-13700F ya AMD Ryzen 7 7700X

👉 Ryzen ke G-series (jaise 5600G) mai GPU built-in hota hai, matlab aap shuruaat mai graphics card ke bina bhi games khel sakte ho aur baad mai GPU upgrade kar sakte ho.


Step 3: Graphics Card (GPU)

Gaming performance ka asli hero hai GPU iskai bina game ki perormance or badh jati hai gpu isliye jaruri hai yai game kai saath saath tumharai system ki performance ko badha deta hai.

  • Entry Level: Nvidia GTX 1660 Super, AMD RX 6500 XT

  • Mid Range: Nvidia RTX 3060 Ti, AMD RX 6700 XT

  • High Budget: Nvidia RTX 4070, AMD RX 7800 XT

👉 Agar budget tight hai, to CPU mai integrated GPU (jaise Ryzen 5600G) le lo aur baad mai graphics card add karo.


Step 4: Motherboard

Motherboard ko choose karte waqt socket compatibility dekhna zaroori hai yai susbsai main baat dhyan mai rakhna ya bohot jaruri hai jo tumharai processor ko puri performance dega uskai liye best motherboard choose karna bohot jaruri hai.

  • Ryzen 5000 series ke liye B450 / B550 chipset

  • Ryzen 7000 series ke liye B650 / X670

  • Intel 13th gen ke liye B660 / B760 chipset

👉 Yahan paisa bachane ke liye entry level B-series motherboard lena best hai.


Step 5: RAM (Memory)

Gaming ke liye kam se kam 16GB RAM aaj ke time mai must hai issai neechai ram mat lo or na hi apnai system mai lagao 16 gb minimum hai uskai uper tum jitni jyada memory lagaogai utni jyada performance badhegi tumharai system ki.

  • Entry level: 16GB (2x8GB, DDR4, 3200MHz)

  • Mid-range: 16GB (DDR5, 5200MHz)

  • High-end: 32GB (DDR5, 6000MHz+)

👉 Dual channel RAM (2 stick) lena zaroori hai, single stick lene se performance gir jati hai.


Step 6: Storage

Aaj ke time mai SSD compulsory hai – HDD sirf storage ke liye rakho or main storage kai liye ssd ka use karo.

  • Entry level: 500GB NVMe SSD

  • Mid range: 1TB NVMe SSD

  • Optional: 1TB HDD extra data storage ke liye

👉 NVMe SSD games ki loading speed aur Windows boot time bahut fast kar deta hai.


Step 7: Power Supply (PSU)

PSU ke bina PC chal hi nahi sakta, aur sasta PSU lene ka matlab risk lena hai padh sakta hai apko kam sai kam psu 500w ka psu lena chahiye or ismai tumhai company ka hi lena hai power supply or maximum tum kitna bhi wat ka lai saktai ho apni use kai hisab sai.

  • Entry Level: 500W 80+ Bronze certified

  • Mid Range: 650W 80+ Bronze / Gold

  • High Budget: 750W+ 80+ Gold

👉 Always branded PSU lo (Cooler Master, Corsair, Antec, Zebronics, MSI, Seasonic).


Step 8: Cabinet / Case

Cabinet mai airflow aur space sabse important hai ismai tum cabinet buy kartai time yai jarur check kar laina or pata kar laina ki ismai ki cabinet mai airflow hona chahiye or jyada sai jyada space hona chahiye taki aap future mai upgrade kar sako yai subsai important hai ki aap dhyan rakhai cabinet lete time check kar lai ki ismai airflow accha ho or jyada space ho cabinet mai.

  • Entry: Simple mid-tower with 2-3 fans

  • Mid range: Better airflow + RGB

  • High-end: Premium tempered glass + cable management

👉 Dekhne mai mast lagna chahiye, par airflow compromise mat karo.


Step 9: Monitor & Peripherals

Gaming PC bina monitor ke adhura hai tumhai apnai hisab sai choose karna hai ki tum game konsi quality mai khelna chahtai ho or apnai budget kai hisab sai.

  • Budget monitor: 1080p, 75Hz

  • Mid range: 1080p, 144Hz (gaming ke liye perfect)

  • High budget: 1440p, 165Hz / 4K

Keyboard & mouse combo budget mai ₹1500-2000 mai mil jata hai.


Step 10: Compatibility Check

Jab saare parts select ho jayein to ek baar compatibility check kar lo.

👉 Sabse common mistake hai GPU aur Cabinet ka size mismatch ya PSU wattage kam hona yai bohot hi important hai tumhai cabinet bohot hi soch samajh kai choose karni hai badhi honi chahiye jyada space hona chahiye or usmai airflow accha ho yai baat jarur dhayn rakh lena or psu ki wattage jyada honi chahiye kam nahi.


Step 11: Assembly

PC assemble karne ke 2 option hote hain:

  1. Khud assemble karo – YouTube tutorials dekh ke easy hai.

  2. Shop mai assemble karwao – agar confident nahi ho.


Step 12: Windows & Drivers

  • Windows 10/11 install karo (genuine version prefer karo).

  • Latest drivers (GPU, chipset) official site se download karo.

  • Steam / Epic Games launcher install karo – gaming ready!


Upgrade Tips

  • Starting mai integrated GPU use karo aur baad mai dedicated GPU add karo.

  • Future ke liye 2 RAM slots free chhodo.

  • SSD mai shuruaat karo, HDD baad mai add karna.

  • PSU thoda powerful lo taki baad mai GPU upgrade karne par problem na ho.


Budget Saving Hacks

  • GPU aur PSU hamesha new lo (warranty ke liye), lekin RAM, Case aur HDD second-hand le sakte ho.

  • Festive sales (Amazon, Flipkart) mai 20–30% tak discount mil jata hai.

  • Local computer market (jaise Nehru Place, Lamington Road) mai parts online se saste mil jate hain.


Conclusion

Budget mai Gaming PC build karna thoda tricky lag sakta hai, lekin agar step by step chaloge to ₹40-50k ke andar ek powerful setup bana sakte ho. Sabse important cheez hai – components wisely select karo, compatibility check karo aur upgrade path open rakho ismai bohoti sarain tarikai hai subsai pehlai tumhai apna budget decide karna hai or usmai dekhna hai ki tum kis use kai liye lai rahai ho system ko agar gaming pc kai liye lai rahai ho to budget kai hisab sai tumhai components choose karnai padh saktai hai jitna jyada tumhara budget hoga utna hi jyada mehengai components lagengai utna hi future upgrade hoga or apnai budget kai hisab sai bhi tum future proof gaming pc build bna saktai ho tumhai in bato ka dhyan rakhna hai ki subsai pehlai tumhai cabinet choose karna hai jaisa mene tumhai btaya hai ki airflow cabinet ka accha hona chaiye or or cabinet mai jyada sai jyada space ho taki future mai tum jub apnai system ko upgrade karo to tumhai koi dikkat na aaye or asani sai tumhara system upgrade ho jaye or usmai kam sai kam 3 rgb phone ho ya koi sai bhi 3 fan ho jitna jyada fan hongai utna accha tumhara system airflow accha karega or utna kam tumhara system heat karega lekin ek baat ka dhyan rakhna hai ki fan ko is hisab sai lagana ki uskai airflow accha ho or motherboard tumhai cpu kai hisab sai tumhai motherboard select karna hai jo tumhara cpu ki puri performance nikal kar dai is baat ko dhyan mai rakhna or mene uper kuch processor kai name or unkai saath aanai walai motherboard ko maina suggest kiya hai vo dekh laina ek baar baki apki choice hai or ram kam sai kam 16 GB ki ho issai neechai na ho agar tum ek gaming pc bna rahai ho to aap udget agar thodha jyada hai to aap 32 gb ki ram bhi lai saktai ho yai apkai liye or bhi badhiya hoga lekin apko single stick nahi lagani hai agar aap 16 gb laga rahai ho to 8,8, gb ki 2 stick lagao or aisa tumhai 32 gb kai saath bhi karna hai ismai bhi apko 16,16 gb ki 2 stick lagani hai issai kya hoga apkai performance acchi aayegi ram ki single stick mai puri performance nikal kai nahi aati 2 stick mai performance nikal kai aati hai ismai ram ko buy kartai time apko yai dhayn rakhna hai ki konsi generation ki aap ram lai rahai ho dd4 ya dd5 mai apko ddr5 hi leni hai yai letest ram hai or ddr4 thodhi purani hai lekin agar apkai pass agar budgte kam hai to aap ddr4 kai saath ja saktai ho mai prefer karunga ki aap ddr5 kai saath jaaye ismai bhi speed ka hisab hota hai ram mai 5200 megahearts ya ussai bhi jyada apko yai baat jarur yaad rakhni hai ram ko buy kartai time ki apko jyada megahearst wali ram lene hi jiski megahearts speed bohot ho or ismai bhi companies aati hai apko badhiya si company choose karni hai ismairam kai liye or GPU ki baat karain toyai apkai budget kai uper depend karta hai mene iskai barain mai btaya hai aap uper check kar saktai ho aap nvidia ka 3060, ya 4060, lo yai budget mai bhi aa jatai hai or yai acchi gaming bhi kara dete hai aap chaho to amd kai saath bhi ja saktai ho yai apki choice hai amd ka gpu laina hai apko ya nvidia ka laina hai dono badhya hai gaming kai performance kai liye.power supply kai kai liye mene apko bata diya hai aap uper check ka saktai ho gaming monitor apki choice hai kai apko apnai budget kia hisab sai laina chahiy. nvme  yai subsai important hai apko ya lagani hi chahiye agar aap ek gaming pc bna rahai ho to primary storage mai jismai apko window daalni ho usmai first storage mai nvme honi chahiye or ismai bhi genration ati hai gen3 gen 4 gen 5 ior ismai bhi comapny hoti hai apkap khud check kar lena apnai hisab sai ki apko konsi company ki leni hai or secondary storage mai aap har disk use kar saktai ho. keyboard mouse aap apnai hisab sai dekh laina rgb wala ya simple wala or ek headphone or ek simple si chair lo apka gaming pc bankai tyyar ho gya. Ek sahi tarike se bana PC aapko 3–5 saal tak mast gaming experience dega aur baad mai easily upgrade bhi ho jayega.

apko agar koi bhi confusion ho component konsa buy karna chahiye or apnai budget kai hisab sai konsa components choose karnai chahiye to aap comment karkai bata sakta ho mai apki puri help karunga.

aaisai hi article post kai liye aap mere website ko follow karo or comment karo. 


Post a Comment

0 Comments